">

The Golden Chain of The Naqshbandi Sufi Masters

A-oozo-billah-e- minashaitan-nirajeem. Bismilla-hir-rahmanir-rahim.

Alaa inna auliya allahe la khaufun alayhim wala hum yahzanoon. Allazina aamanu wa kaani yattaqoon.

Ae naqshband-e-alam naqshe mura-baband, Naqshe chuna-baband kay goyand naqshband.

Fazal kar ya rabb merey haal-e-zaboon (n) par rehm kar, daal mujh alooda-e-aesyaan pe rahmat ki nazar

Tujh ko apni kibriyai ki qasm hey bay niyaaz, Mujh sarapa masiyyat par kar dar-e-afzaal-e-baaz.

Tujh ko deta hoo(n) tere judo saha ka waasta, Fazl ka, rahmat ka, bakhshish ka, athaa ka waasta.

Theri rahmat kay hazaaney main kami koi nahi(n), Aur therey judo karam ki intheha koi nahi(n).

Mai(n) kahoo(n) be waasta kis moo(n)h se bakhshish keliye, Kuch wasiley peysh kartha hoo(n) sifarish keliye.

Kar karam ham par HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA (salala-ho-alai-wasalam) kay waastay, Fakhr-e-mawjudaat, Shah doosra kay waastay.

Is rasool-e-benazeer-o-bebadal ka waasta, Raazdaar-e-hilwat bazme azal ka waasta.

Rehm farma HAZRAT SIDDIQ-E-AKBAR keliye, Ashiq-o-dildaada-e-husne peyambar keliye.

Hazrat Salman Faris bey riya kay waastay, Hazrat Qasim imam-e-auliya kay waastay.

Kar Imam Jafar-e-Sadiq kay sadqay may athaa, Thoo najaat-e-dhaimi ka mujh ko durr-e-baybahaa.

Bayazid-o-Bulhasan aur Bu Ali Faremidi, Ya ilahi laaj rakh ley in kay sadqay may meri.

Hashr kay din Yusuf Hamdanwi ka saath ho, Un ka damaan-e-muqaddas our mera haath ho.

Shah Abdul Khaliq wa Shah Arif Rewageri, Khwaja Mahmood, Azizaa(n) sahib-e-hulqe nabi.

Muhtaram Baba Samasi, Hazrat Amir-e-Kulaal, Murshidaan-e-basafa, roshan zameer-o-bakamaal.

Sadr-e-naqshbandaa(n), arif-e-israar hoo, Mohsin-e-millat, shain-shah mazhar-e-anwaar hoo.

Jin ka he pela qadm aur muntahi ka akhree(n), Shah Bahaudin Sakhi bar himmat-e-au-afree(n).

Ya ilahi waastay Khwaja Alaudin kay, Deen-e-Ahmad par rahe(n) sabit qadm maskeen kay.

Hazrat Yaqoob Charkhi aur Ubaidullah Shah, Hazrat Khwaja Muhammad Zahid apney dee(n) panaah.

In nofoos-e-paak kay sadqay may-ae-rabbe ilaha, Dho jabbeen-e-masiyyat alood say dagh-e-gunaah.

Bakhsh day sadqay may ya rabb Khwaja Darwesh kay, Khwaja Amkangi wa Khwaja Baqi Billah keliye.

Ya ilahi waasta laya hoo(n) mai(n) us Shah ka, Radd nahi(n) thoo nay kiya jin ka kabhi bhi waasta.

Wo therey mahboob kay mahboob bhi hai shaydaa bhi hai(n), Ishq Ahmad may wo faani bhi hai(n) our baqi bhi hai(n).

Qutb-e-haq, Qayyoom-e-millat, Sheikh Ahmad keliye, Bakhsh day ya rabb Mujaddid Alif Sani kayliye.

Afoo farina sab khataa-ai(n) az pa-ay Qayyoom-e-deen, Urwathul-wusqaa, meh Sarhind, Shamsul Arifeen.

Naqshband-e-saani, Hazrat Hujjatullah aur Zubair, Khwaja Ashraf, Jamaalullah mard-e-aile khayr.

Hazrat Isa Muhammad, Faizullah Shah, Hazrat Noor Muhammad aur Faqir-e-badshah.

Qibla-e-alam janaab Hafiz Abdul Karim, Hamil-e-hukm-e-shariat sahib-e-hulq-e-azeem.

Aashna-e-sirri-e-haq dana-ay-sirre la ilaha, Waqif-e-rake haqiqat faqr ki jaiay panaah.

Rahmat-e-haq nay bula kar ley liye-aghowsh may, Ja rahe firdowsiyo(n) kay alam-e-khamowsh may.

Rehm farma az tufail-e-haadiye deen-e-mobeen, Sahib-e-noor-e-baseerat KHWAJA SUFI NAWAABUDIN.

Jin ka seena dowlat-e-tawhid ka ganjina hey, Qalb-e-safi jin ka husn toor ka aeena hey, Jin ki peshani kitaabullah ki tafsir hey, Jin Kay seen-e-khudi mai(n) garmiye Shabbir hay.

Ya ilahi rehm farma sahib-e-huda Kay waastay, HAZRAT KHWAJA SUFI MUHAMMAD ASLAM mahboob-e-khuda kay waastay.

Har tharaf dunya may is haqiqat ka zahoor hey, Faiz-e-janaab say Asia-aur-Europe kiyah phoori dhunya noor-o-noor hey.

Khwajgaan-e-naqshbandi ki muhabbat kar athaa, Hashr mai(n) bhi eh khuda wanda meray Khwaja kai saath utaah.

In Kay sadqay mai(n) ho ajiz dho jahaan mai(n) sarhoroo,. Bar qaraar rahai hai sab kee deen-o-dunya may aabroo.

Ya ilahi sab dua-ai(n) lutf say maqbool hoo(n), Jab chale(n) dunya say theri yaad main) mashghool hoo(n).

(Ameen summah Ameen )

ALLAH-HU, ALLAH-HU, ALLAH-HU...


(Naqshbandia Mujadadiya Aslamiya Keighley Youth (C))